Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


muqabil us dur-e-dandan ke ye guhar kya hai


muqābil us dur-e-dandāñ ke ye guhar kyā hai
aur 'aish' laal kī us lab ke aage dar kyā hai

ḳhayāl-e-yār meñ ho mahv-e-be-ḳhudī aisā
mujhe ḳhabar nahīñ dil kyā hai aur jigar kyā hai

kahe hai ishq meñ nāseh ki hai zarar dil kā
jo vāqa.ī hai zarar ye hai to zarar kyā hai

kiyā hai nuuh ke tūfāñ ko tū ne sharminda
irāda ab tirā kah aur chashm-e-tar kyā hai

milā hai jis ko hasham qat-e-mā-sivā allāh
nazar meñ us kī ye duniyā kā karr-o-far kyā hai

tū merī aah se sīna-sipar na ho ai charḳh
tujhe ḳhabar nahīñ is aah meñ asar kyā hai

tū rāh-e-ishq ke sadmoñ se mat Darā vaa.iz
jo sarfarosh haiñ is rah meñ un ko Dar kyā hai

hamārā chāk-e-jigar baḳhiya-gar siyegā che ḳhush
ye chaak vo nahīñ maqdūr-e-baḳhiya-gar kyā hai

ḳhayāl jis ko ruḳh-o-zulf-e-yār kā hai bañdhā
vo jāntā hī nahīñ shaam aur sahar kyā hai

hai dil ko naaz tire jis jahān-e-fānī par
batā vo aur ba-juz ḳhāna-e-do-dar kyā hai

tū kis ghamanD pe misl-e-sharar uchhaltā hai
ḳhayāl dil meñ to kar hastī-e-sharar kyā hai

ḳhudā ne kholā hai ye raaz jin pe aalam meñ
vo jānte haiñ ki māhiyyat-e-ashar kyā hai

butoñ ko sajda-e-dar ke sivā batā ai 'aish'
jahāñ meñ ham ne kiyā aur umr bhar kyā hai

muqabil us dur-e-dandan ke ye guhar kya hai
aur 'aish' lal ki us lab ke aage dar kya hai

KHayal-e-yar mein ho mahw-e-be-KHudi aisa
mujhe KHabar nahin dil kya hai aur jigar kya hai

kahe hai ishq mein naseh ki hai zarar dil ka
jo waqai hai zarar ye hai to zarar kya hai

kiya hai nuh ke tufan ko tu ne sharminda
irada ab tera kah aur chashm-e-tar kya hai

mila hai jis ko hasham qat-e-ma-siwa allah
nazar mein us ki ye duniya ka karr-o-far kya hai

tu meri aah se sina-sipar na ho ai charKH
tujhe KHabar nahin is aah mein asar kya hai

tu rah-e-ishq ke sadmon se mat Dara waiz
jo sarfarosh hain is rah mein un ko Dar kya hai

hamara chaak-e-jigar baKHiya-gar siyega che KHush
ye chaak wo nahin maqdur-e-baKHiya-gar kya hai

KHayal jis ko ruKH-o-zulf-e-yar ka hai bandha
wo jaanta hi nahin sham aur sahar kya hai

hai dil ko naz tere jis jahan-e-fani par
bata wo aur ba-juz KHana-e-do-dar kya hai

tu kis ghamanD pe misl-e-sharar uchhalta hai
KHayal dil mein to kar hasti-e-sharar kya hai

KHuda ne khola hai ye raaz jin pe aalam mein
wo jaante hain ki mahiyyat-e-ashar kya hai

buton ko sajda-e-dar ke siwa bata ai 'aish'
jahan mein hum ne kiya aur umr bhar kya hai


Source: Book : Intekhab-e-kalam  Miir Zamin Ali Jalal (Pg. 29)

Leave a comment

+