Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Raza Bhatti

  • Ghazal


usne bhi KHud ko be-kanar kiya


us ne bhī ḳhud ko be-kanār kiyā
jis kā sāhil ne intizār kiyā

aa.ine meñ sulag rahā thā lahū
phir bhī hairat kā dil shumār kiyā

korā hone se peshtar maiñ ne
ek ik rañg iḳhtiyār kiyā

merī dīvāngī bharosa rakh
maiñ ne paanī ko bhī ġhubār kiyā

maiñ kahīñ bhī pahuñch nahīñ paayā
kyūñki saa.e ko rahguzār kiyā

tum bhī masrūf ho rahe ho 'razā'
tum ne bhī ishq iḳhtiyār kiyā

us ne bhi KHud ko be-kanar kiya
jis ka sahil ne intizar kiya

aaine mein sulag raha tha lahu
phir bhi hairat ka dil shumar kiya

kora hone se peshtar main ne
ek ek rang iKHtiyar kiya

meri diwangi bharosa rakh
main ne pani ko bhi ghubar kiya

main kahin bhi pahunch nahin paya
kyunki sae ko rahguzar kiya

tum bhi masruf ho rahe ho 'raza'
tum ne bhi ishq iKHtiyar kiya


Leave a comment

+