Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farhan Hanif Warsi

  • Ghazal


shabnam shabnam rota hai


shabnam shabnam rotā hai
dariyā ho kar pyāsā hai

dil kī banjar dhartī par
yaar kā mausam aayā hai

nafrat kā ehsās huā
jab jab shīsha dekhā hai

maiñ bhī kam-kam miltā huuñ
vo bhī kaT kaT jaatā hai

mere ghar aa dekh zarā
har sū tū hī bikhrā hai

rātoñ ko ronā us kā
be-ḳhvābī kā qissa hai

jitnā jī chāhe hañs lo
sab ko ik din ronā hai

ghar se bāhar niklo to
duniyā jaisī duniyā hai

rishte-nāte khel samajh
kaun kisī kā hotā hai

jis ko apnī jaañ kahte ho
ek din us ko bhī khonā hai

kachche-pakke rishtoñ kā
dukh 'farhān' ko sahnā hai

shabnam shabnam rota hai
dariya ho kar pyasa hai

dil ki banjar dharti par
yar ka mausam aaya hai

nafrat ka ehsas hua
jab jab shisha dekha hai

main bhi kam-kam milta hun
wo bhi kaT kaT jata hai

mere ghar aa dekh zara
har su tu hi bikhra hai

raaton ko rona us ka
be-KHwabi ka qissa hai

jitna ji chahe hans lo
sab ko ek din rona hai

ghar se bahar niklo to
duniya jaisi duniya hai

rishte-nate khel samajh
kaun kisi ka hota hai

jis ko apni jaan kahte ho
ek din us ko bhi khona hai

kachche-pakke rishton ka
dukh 'farhan' ko sahna hai


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 648) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+