yaad kar kar ke use vaqt guzārā jaa.e
kis ko fursat hai vahāñ kaun dobāra aa jaa.e
shak sā hotā hai har ik pe ki kahīñ tū hī na ho
ab tire naam se kis kis ko pukārā jaa.e
sā.ira tujh ko bahut yaad haiñ us kī bāteñ
kyuuñ na kuchh vaqt tire saath guzārā jaa.e
jis tarah peḌ ko baḌhne nahīñ detī koī bel
kyā zarūrī hai mujhe gher ke maarā jaa.e
ain mumkin hai ki ho us se ilāj-e-vahshat
shahr meñ zor se ik naam pukārā jaa.e
us hasīñ shaḳhs kī ḳhātir jo kahā hai 'tābish'
kam hai is sher ko jitnā bhī sañvārā jaa.e
yaad kar kar ke use waqt guzara jae
kis ko fursat hai wahan kaun dobara aa jae
shak sa hota hai har ek pe ki kahin tu hi na ho
ab tere nam se kis kis ko pukara jae
saira tujh ko bahut yaad hain us ki baaten
kyun na kuchh waqt tere sath guzara jae
jis tarah peD ko baDhne nahin deti koi bel
kya zaruri hai mujhe gher ke mara jae
ain mumkin hai ki ho us se ilaj-e-wahshat
shahr mein zor se ek nam pukara jae
us hasin shaKHs ki KHatir jo kaha hai 'tabish'
kam hai is sher ko jitna bhi sanwara jae
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment