samajh rahā thā maiñ ye din guzarne vaalā nahīñ
khulā ki koī bhī lamha Thaharne vaalā nahīñ
koī bhī rasta kisī samt ko nahīñ jaatā
koī safar mirī takmīl karne vaalā nahīñ
havā kī abr kī koshish to puurī puurī hai
magar dhuveñ kī tarah maiñ bikharne vaalā nahīñ
maiñ apne-āp ko bas ek baar dekhūñgā
phir is ke ba.ad kisī se bhī Darne vaalā nahīñ
charāġh-e-jāñ liye kis dasht meñ khaḌā huuñ maiñ
koī bhī qāfila yaañ se guzarne vaalā nahīñ
maiñ kyā karūñ koī tasvīr gar adhūrī hai
maiñ apne rañg to ab us meñ bharne vaalā nahīñ
samajh raha tha main ye din guzarne wala nahin
khula ki koi bhi lamha Thaharne wala nahin
koi bhi rasta kisi samt ko nahin jata
koi safar meri takmil karne wala nahin
hawa ki abr ki koshish to puri puri hai
magar dhuwen ki tarah main bikharne wala nahin
main apne-ap ko bas ek bar dekhunga
phir is ke baad kisi se bhi Darne wala nahin
charagh-e-jaan liye kis dasht mein khaDa hun main
koi bhi qafila yan se guzarne wala nahin
main kya karun koi taswir gar adhuri hai
main apne rang to ab us mein bharne wala nahin
Leave a comment