Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Mehdi

  • Ghazal


diwangi ki rah mein gum-sum hua na tha!


dīvāngī kī raah meñ gum-sum huā na thaa!
duniyā meñ apnā koī kahīñ āshnā na thaa!

dhaḌkan kā dard jism ko taḌpā ke rah gayā
rag rag meñ ek shor-e-masīhā bapā na thaa!

ik kashmakash ke ba.ad ta.alluq nahīñ rahā
begāna ho ke ham se vo lekin ḳhafā na thaa!

dīvār-o-dar pe parde laTakte the har taraf
iflās kone kone meñ lekin chhupā na thaa!

zanjīreñ laakh TūTīñ magar ḳhauf-e-hukmarāñ
majbūriyoñ ke jaal se koī rihā na thaa!

ik apnī chīḳh se laraz uTThe the bām-o-dar
aa.ī na bāzgasht koī ham-navā na thaa!

aate rahe na jaane kahāñ se ḳhatoñ pe ḳhat
be-nūr chashm-e-nam ne kisī ko paḌhā na thaa!

diwangi ki rah mein gum-sum hua na tha!
duniya mein apna koi kahin aashna na tha!

dhaDkan ka dard jism ko taDpa ke rah gaya
rag rag mein ek shor-e-masiha bapa na tha!

ek kashmakash ke baad talluq nahin raha
begana ho ke hum se wo lekin KHafa na tha!

diwar-o-dar pe parde laTakte the har taraf
iflas kone kone mein lekin chhupa na tha!

zanjiren lakh TuTin magar KHauf-e-hukmaran
majburiyon ke jal se koi riha na tha!

ek apni chiKH se laraz uTThe the baam-o-dar
aai na bazgasht koi ham-nawa na tha!

aate rahe na jaane kahan se KHaton pe KHat
be-nur chashm-e-nam ne kisi ko paDha na tha!


Leave a comment

+