Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar

  • Ghazal


nekiyan to aap ki sari bhula di jaengi


nekiyāñ to aap kī saarī bhulā dī jā.eñgī
ġhalatiyāñ raa.ī bhī hoñ parvat banā dī jā.eñgī

raushnī darkār hogī jab bhī mahloñ ko zarā
shahr kī sab jhuggiyāñ pal meñ jalā dī jā.eñgī

phir koī tasvīr hākim ko lagī hai aa.ina
uñgliyāñ tai haiñ musavvir kī kaTā dī jā.eñgī

un ke armānoñ kī parvā ahl-e-mahfil ko kahāñ
sub.h hote hī sabhī sham.eñ bujhā dī jā.eñgī

naam patthar par shahīdoñ ke likhe to jā.eñge
haañ magar qurbāniyāñ un kī bhulā dī jā.eñgī

kaun murjhāne se rokegā guloñ ko ai 'dinesh'
bulbuleñ hī baaġh se jab sab uḌā dī jā.eñgī

nekiyan to aap ki sari bhula di jaengi
ghalatiyan rai bhi hon parwat bana di jaengi

raushni darkar hogi jab bhi mahlon ko zara
shahr ki sab jhuggiyan pal mein jala di jaengi

phir koi taswir hakim ko lagi hai aaina
ungliyan tai hain musawwir ki kaTa di jaengi

un ke armanon ki parwa ahl-e-mahfil ko kahan
subh hote hi sabhi shamen bujha di jaengi

nam patthar par shahidon ke likhe to jaenge
han magar qurbaniyan un ki bhula di jaengi

kaun murjhane se rokega gulon ko ai 'dinesh'
bulbulen hi bagh se jab sab uDa di jaengi


Leave a comment

+