mere andar kā ġhurūr andar guzartā rah gayā
sar se paañv tak utarnā thā utartā rah gayā
bārishoñ ne phir vahī zahmat uThā.ī der se
ek registān hai ki phir bhī pyāsā rah gayā
zindagī bhar aañkh se aañsū nadāmat ke gire
aur mere dil kā suffā yuuñ hī saada rah gayā
pahlī bārish hī meñ taqvā ke nishāñ sab dhul ga.e
sar meñ ik TuuTā huā mazlūm sajda rah gayā
kaise hogā ab ḳhudā.ī bandagī kā faisla
shahr ke saare ḳhudā meñ ek banda rah gayā
jald manzil tak pahuñchne kā junūñ us ko rahā
zindagī bhar is liye rasta badaltā rah gayā
mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya
sar se panw tak utarna tha utarta rah gaya
barishon ne phir wahi zahmat uThai der se
ek registan hai ki phir bhi pyasa rah gaya
zindagi bhar aankh se aansu nadamat ke gire
aur mere dil ka suffa yun hi sada rah gaya
pahli barish hi mein taqwa ke nishan sab dhul gae
sar mein ek TuTa hua mazlum sajda rah gaya
kaise hoga ab KHudai bandagi ka faisla
shahr ke sare KHuda mein ek banda rah gaya
jald manzil tak pahunchne ka junun us ko raha
zindagi bhar is liye rasta badalta rah gaya
Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 198) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Leave a comment