Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


nazar kisi ki nazar se nahin ulajhti thi


nazar kisī kī nazar se nahīñ ulajhtī thī
vo din bhī the ki yūñhī zindagī guzartī thī

sitāre apne liye ḳhvāhishoñ kī manzil the
hasīn raat hameñ chāñdnī pilātī thī

rahe the apnī havāoñ meñ ek umr magar
bikhar paḌe to har ik gaam apnī hastī thī

yahī bahut thā ki kuchh log aa ke kahte the
vo merā zikr bahut muḳhlisāna kartī thī

nazar meñ pyaar bhī thā aur takallufāt bhī the
kahā kareñge kabhī ham ajiib laḌkī thī

ḳhamosh rahtī thī gahre samundaroñ kī tarah
vo āñkheñ jin se nirī shā.irī bikhartī thī

use mile to phir is baat kā surāġh milā
hameñ ye zindagī kyuuñ itnī pyārī lagtī thī

na jaane kitne hī safhoñ pe dil bikherā magar
na kah sake to vo ik baat hī jo kahnī thī

nazar kisi ki nazar se nahin ulajhti thi
wo din bhi the ki yunhi zindagi guzarti thi

sitare apne liye KHwahishon ki manzil the
hasin raat hamein chandni pilati thi

rahe the apni hawaon mein ek umr magar
bikhar paDe to har ek gam apni hasti thi

yahi bahut tha ki kuchh log aa ke kahte the
wo mera zikr bahut muKHlisana karti thi

nazar mein pyar bhi tha aur takallufat bhi the
kaha karenge kabhi hum ajib laDki thi

KHamosh rahti thi gahre samundaron ki tarah
wo aankhen jin se niri shairi bikharti thi

use mile to phir is baat ka suragh mila
hamein ye zindagi kyun itni pyari lagti thi

na jaane kitne hi safhon pe dil bikhera magar
na kah sake to wo ek baat hi jo kahni thi


Leave a comment

+