Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Raza Bhatti

  • Ghazal


dil-e-durwesh ki dua se uTha


dil-e-durvesh kī duā se uThā
ye hayūlā sā jo havā se uThā

jism uljhā magar thakan utrī
par jo ik karb nahrvā se uThā

nashsha-e-ḳhvāb ba.ad meñ utrā
pahle ḳhushnūdī-e-valā se uThā

shahr-e-sar-mast meñ shafaq utrī
aur manzar koī varā se uThā

is ko maiñ inqalāb kahtā huuñ
ye jo inkār kī fazā se uThā

dil-e-durwesh ki dua se uTha
ye hayula sa jo hawa se uTha

jism uljha magar thakan utri
par jo ek karb nahrwa se uTha

nashsha-e-KHwab baad mein utra
pahle KHushnudi-e-wala se uTha

shahr-e-sar-mast mein shafaq utri
aur manzar koi wara se uTha

is ko main inqalab kahta hun
ye jo inkar ki faza se uTha


Leave a comment

+