Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basir Sultan Kazmi

  • Ghazal


hazar kahta raha main ki yar ek minute


hazār kahtā rahā maiñ ki yaar ek minute
kiyā na us ne mirā intizār ek minute

maiñ jāntā huuñ ki hai ye ḳhumār ek minute
idhar bhī aa.ī thī mauj-e-bahār ek minute

patā chale ki hameñ kaun kaun chhoḌ gayā
zarā chhaTe to ye gard-o-ġhubār ek minute

abad talak hue ham us ke vasvasoñ ke asiir
kiyā thā jis pe kabhī e'tibār ek minute

agarche kuchh nahīñ auqāt ek hafte kī
jo sochiye to haiñ ye das hazār ek minute

phir aaj kaam se tāḳhīr ho ga.ī 'bāsir'
kisī ne ham se kahā baar baar ek minute

hazar kahta raha main ki yar ek minute
kiya na us ne mera intizar ek minute

main jaanta hun ki hai ye KHumar ek minute
idhar bhi aai thi mauj-e-bahaar ek minute

pata chale ki hamein kaun kaun chhoD gaya
zara chhaTe to ye gard-o-ghubar ek minute

abad talak hue hum us ke waswason ke asir
kiya tha jis pe kabhi e'tibar ek minute

agarche kuchh nahin auqat ek hafte ki
jo sochiye to hain ye das hazar ek minute

phir aaj kaam se taKHir ho gai 'basir'
kisi ne hum se kaha bar bar ek minute


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+