Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Darshan Singh

  • Ghazal


mohabbat ki mata-e-jawedani le ke aaya hun


mohabbat kī matā-e-jāvedānī le ke aayā huuñ
tire qadmoñ meñ apnī zindagānī le ke aayā huuñ

kahāñ sīm-o-guhar jin ko luTā.ūñ tere qadmoñ par
barā-e-nazr ashkoñ kī ravānī le ke aayā huuñ

tujhe jo pūchhnā ho pūchh le ai dāvar-e-mahshar
maiñ apne saath apnī be-zabānī le ke aayā huuñ

zamīn-o-mulk ke badle diloñ par hai nazar merī
achhūtā ik tarīq-e-hukmarānī le ke aayā huuñ

mire zaḳhm-e-tamannā dekh kar pahchān lo mujh ko
tumhārī hī atā-karda nishānī le ke aayā huuñ

mire ash.ār meñ muzmar haiñ lākhoñ dhaḌkaneñ dil kī
maiñ ik duniyā kā ġham dil kī zabānī le ke aayā huuñ

mohabbat naam hai betābī-e-dil ke tasalsul kā
mohabbat kī maiñ 'darshan' ye nishānī le ke aayā huuñ

mohabbat ki mata-e-jawedani le ke aaya hun
tere qadmon mein apni zindagani le ke aaya hun

kahan sim-o-guhar jin ko luTaun tere qadmon par
bara-e-nazr ashkon ki rawani le ke aaya hun

tujhe jo puchhna ho puchh le ai dawar-e-mahshar
main apne sath apni be-zabani le ke aaya hun

zamin-o-mulk ke badle dilon par hai nazar meri
achhuta ek tariq-e-hukmarani le ke aaya hun

mere zaKHm-e-tamanna dekh kar pahchan lo mujh ko
tumhaari hi ata-karda nishani le ke aaya hun

mere ashaar mein muzmar hain lakhon dhaDkanen dil ki
main ek duniya ka gham dil ki zabani le ke aaya hun

mohabbat nam hai betabi-e-dil ke tasalsul ka
mohabbat ki main 'darshan' ye nishani le ke aaya hun


Leave a comment

+