Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Manikpuri

  • Ghazal


shabab ho ki na ho husn-e-yar baqi hai


shabāb ho ki na ho husn-e-yār baaqī hai
yahāñ koī bhī ho mausam bahār baaqī hai

kuchh aisī aaj pilā.ī hai chashm-e-sāqī ne
na hosh hai na koī hoshiyār baaqī hai

pukārtā hai junūñ hosh meñ jo aatā huuñ
Thahar Thahar abhī fasl-e-bahār baaqī hai

kamāl-e-ishq to dekho vo aa ga.e lekin
vahī hai shauq vahī intizār baaqī hai

kisī sharāb kī ho kyā talab 'jalīl' mujhe
mai-e-alast kā ab tak ḳhumār baaqī hai

shabab ho ki na ho husn-e-yar baqi hai
yahan koi bhi ho mausam bahaar baqi hai

kuchh aisi aaj pilai hai chashm-e-saqi ne
na hosh hai na koi hoshiyar baqi hai

pukarta hai junun hosh mein jo aata hun
Thahar Thahar abhi fasl-e-bahaar baqi hai

kamal-e-ishq to dekho wo aa gae lekin
wahi hai shauq wahi intizar baqi hai

kisi sharab ki ho kya talab 'jalil' mujhe
mai-e-alast ka ab tak KHumar baqi hai


Leave a comment

+