Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Raza Bhatti

  • Ghazal


kuchh aisa ho gaya hai yar apna


kuchh aisā ho gayā hai yaar apnā
gila bantā hai ab bekār apnā

pas-e-parda bahut be-pardagī hai
bahut bezār hai kirdār apnā

ḳharābe meñ kise apnī ḳhabar hai
agarche kar liyā inkār apnā

dar-o-dīvār se jhaḌtī hai hairat
kahāñ le jā.ūñ maiñ āzār apnā

vafūr-e-nashsha-e-laġhzish ke baa.is
huā hai rāsta hamvār apnā

patiñge gher laatā huuñ kahīñ se
diye kī lau se jo hai pyaar apnā

'razā' ye phuul hone kī tamannā
kisī kī saañs par hai baar apnā

kuchh aisa ho gaya hai yar apna
gila banta hai ab bekar apna

pas-e-parda bahut be-pardagi hai
bahut bezar hai kirdar apna

KHarabe mein kise apni KHabar hai
agarche kar liya inkar apna

dar-o-diwar se jhaDti hai hairat
kahan le jaun main aazar apna

wafur-e-nashsha-e-laghzish ke bais
hua hai rasta hamwar apna

patinge gher lata hun kahin se
diye ki lau se jo hai pyar apna

'raza' ye phul hone ki tamanna
kisi ki sans par hai bar apna


Leave a comment

+