āzādī meñ rahne vaale dekho kaise rahte haiñ
apne saa.e se Darte haiñ chauñke chauñke rahte haiñ
hare-bhare peḌoñ ke uupar jin ke Thor Thikāne the
ab vo panchhī shor-e-zamīñ par dhuup meñ jalte rahte haiñ
Takrāte rahte haiñ aksar patthar jaise logoñ se
ham dil vaale kirchī kirchī ā.īne se rahte haiñ
gahrā.ī se motī laane vāloñ kā ye haal huā
sāhil kī āġhosh meñ baiThe lahreñ ginte rahte haiñ
lau kī zad meñ rahne vaalo un kī or na dekho tum
bādal kī hamrāhī meñ jo aksar bhīge rahte haiñ
āḳhir āḳhir ḳhud bhī zaḳhmī ho kar hote haiñ bad-hāl
avval avval zaḳhmoñ ke saudāgar achchhe rahte haiñ
kaise kaise maile ho kar vāpas aate haiñ 'māhir'
log nikalte haiñ jab ghar se ujle ujle rahte haiñ
aazadi mein rahne wale dekho kaise rahte hain
apne sae se Darte hain chaunke chaunke rahte hain
hare-bhare peDon ke upar jin ke Thor Thikane the
ab wo panchhi shor-e-zamin par dhup mein jalte rahte hain
Takraate rahte hain aksar patthar jaise logon se
hum dil wale kirchi kirchi aaine se rahte hain
gahrai se moti lane walon ka ye haal hua
sahil ki aaghosh mein baiThe lahren ginte rahte hain
lau ki zad mein rahne walo un ki or na dekho tum
baadal ki hamrahi mein jo aksar bhige rahte hain
aaKHir aaKHir KHud bhi zaKHmi ho kar hote hain bad-haal
awwal awwal zaKHmon ke saudagar achchhe rahte hain
kaise kaise maile ho kar wapas aate hain 'mahir'
log nikalte hain jab ghar se ujle ujle rahte hain
Leave a comment