Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanvir Dehlvi

  • Ghazal


jo kaha usne wo kiye hi bani


jo kahā us ne vo kiye hī banī
sūfiyoñ ko bhī mai piye hī banī

aisī bāteñ banā.iyāñ us ne
kuchh na ban aa.ī dil diye hī banī

ab bhī aa jaa.e is tamannā meñ par
na muue hijr meñ jiye hī banī

kāfir-e-ishq ho ga.ī āḳhir
un butoñ kā kahā kiye hī banī

thā jo rusvā.iyoñ kā Dar un ko
jeb ke chaak ko liye hī banī

raat saaqī baġhair thaam ke dil
zahr kā ghūñT pī liye hī banī

machle 'tanvīr' jab ye tifl-e-sarishk
god meñ un ko le liye hī banī

jo kaha us ne wo kiye hi bani
sufiyon ko bhi mai piye hi bani

aisi baaten banaiyan us ne
kuchh na ban aai dil diye hi bani

ab bhi aa jae is tamanna mein par
na mue hijr mein jiye hi bani

kafir-e-ishq ho gai aaKHir
un buton ka kaha kiye hi bani

tha jo ruswaiyon ka Dar un ko
jeb ke chaak ko liye hi bani

raat saqi baghair tham ke dil
zahr ka ghunT pi liye hi bani

machle 'tanwir' jab ye tifl-e-sarishk
god mein un ko le liye hi bani


Leave a comment

+