Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahboob Khizan

  • Ghazal


kis ne kaha aap se meri musibat hai kya


kis ne kahā aap se merī musībat hai kyā
ab ye nadāmat hai kyuuñ us kī zarūrat hai kyā

ab ye tavajjoh hai kyuuñ mere shab-o-roz par
apne shab-o-roz se aap ko fursat hai kyā

kaun dikhā.e mujhe shaam se kitnī hasīñ
kaun batā.e mujhe vaqt kī qīmat hai kyā

itne samāñ itne shahr ek lagan ek lahr
saat baras chup rahe aur shikāyat hai kyā

is bhare bāzār meñ ham to akele 'ḳhizāñ'
kyuuñ haiñ mire saath log ġham koī daulat hai kyā

kis ne kaha aap se meri musibat hai kya
ab ye nadamat hai kyun us ki zarurat hai kya

ab ye tawajjoh hai kyun mere shab-o-roz par
apne shab-o-roz se aap ko fursat hai kya

kaun dikhae mujhe sham se kitni hasin
kaun batae mujhe waqt ki qimat hai kya

itne saman itne shahr ek lagan ek lahr
sat baras chup rahe aur shikayat hai kya

is bhare bazar mein hum to akele 'KHizan'
kyun hain mere sath log gham koi daulat hai kya


Volume-001"

Leave a comment

+