Subscribe to our newsletter and get our newest updates

kanval Dibaivi

  • Ghazal


kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun


kuchh bujhī bujhī sī hai anjuman na jaane kyuuñ
zindagī meñ pinhāñ hai ik chubhan na jaane kyuuñ

aur bhī bahut se haiñ lūTne ko duniyā meñ
ban ga.e haiñ rahbar hī raah zan na jaane kyuuñ

un kī fikr-e-ālā par log sar ko dhunte the
aaj vo pareshāñ haiñ ahl-e-fan na jaane kyuuñ

jis chaman meñ sadiyoñ se thā bahār kā qabza
us meñ hai ḳhizāoñ kā ab chalan na jaane kyuuñ

jin guloñ se kāñTe ḳhud duur bach ke rahte the
chaak chaak haiñ un ke pairahan na jaane kyuuñ

ġhair kuchh to karte haiñ paas aur lihāz apnā
aur dost hote haiñ ḳhanda-zan na jaane kyuuñ

ġhunche ġhunche ke tevar gulsitāñ meñ badle haiñ
ham chaman meñ rah kar haiñ be-chaman na jaane kyuuñ

jin ko apnā samjhe the karte haiñ 'kañval' ham se
dostī ke parde meñ makr o fan na jaane kyuuñ

kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun
zindagi mein pinhan hai ek chubhan na jaane kyun

aur bhi bahut se hain luTne ko duniya mein
ban gae hain rahbar hi rah zan na jaane kyun

un ki fikr-e-ala par log sar ko dhunte the
aaj wo pareshan hain ahl-e-fan na jaane kyun

jis chaman mein sadiyon se tha bahaar ka qabza
us mein hai KHizaon ka ab chalan na jaane kyun

jin gulon se kanTe KHud dur bach ke rahte the
chaak chaak hain un ke pairahan na jaane kyun

ghair kuchh to karte hain pas aur lihaz apna
aur dost hote hain KHanda-zan na jaane kyun

ghunche ghunche ke tewar gulsitan mein badle hain
hum chaman mein rah kar hain be-chaman na jaane kyun

jin ko apna samjhe the karte hain 'kanwal' hum se
dosti ke parde mein makr o fan na jaane kyun


Leave a comment

+