Subscribe to our newsletter and get our newest updates

darvesh bharti

  • Ghazal


jab se kisi se dard ka rishta nahin raha


jab se kisī se dard kā rishta nahīñ rahā
jiinā hamārā tab se hī jiinā nahīñ rahā

tere ḳhayāl-o-ḳhvāb hī rahte haiñ ās-pās
tanhā.ī meñ bhī maiñ kabhī tanhā nahīñ rahā

aañsū bahe haiñ itne kisī ke firāq meñ
āñkhoñ meñ ik bhī vasl kā sapnā nahīñ rahā

darpesh aa rahe haiñ vo hālāt āj-kal
apnoñ ko apnoñ par hī bharosa nahīñ rahā

nafrat kā zahr phailā hai lekin kisī meñ aaj
mil baiTh sochne kā bhī jazba nahīñ rahā

dār-o-madār-e-zindagī jis par thā vo bhī to
jaisā samajhte the use vaisā nahīñ rahā

ye nasl-e-nau hai itnī mohazzab ki is meñ aaj
'darvesh' guftugū kā salīqa nahīñ rahā

jab se kisi se dard ka rishta nahin raha
jina hamara tab se hi jina nahin raha

tere KHayal-o-KHwab hi rahte hain aas-pas
tanhai mein bhi main kabhi tanha nahin raha

aansu bahe hain itne kisi ke firaq mein
aankhon mein ek bhi wasl ka sapna nahin raha

darpesh aa rahe hain wo haalat aaj-kal
apnon ko apnon par hi bharosa nahin raha

nafrat ka zahr phaila hai lekin kisi mein aaj
mil baiTh sochne ka bhi jazba nahin raha

dar-o-madar-e-zindagi jis par tha wo bhi to
jaisa samajhte the use waisa nahin raha

ye nasl-e-nau hai itni mohazzab ki is mein aaj
'darwesh' guftugu ka saliqa nahin raha


Source: Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 96) Author : Dr. Preem Bhandari Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+