Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yunus Tahseen

  • Ghazal


har waqt mere samne ek jalwagari hai


har vaqt mire sāmne ik jalvagarī hai
maiñ dekh na pā.ūñ to mirī kam nazarī hai

maiñ aañkh jhapaktā huuñ to manzar nahīñ rahtā
ai husn-e-dil-āvez ajab muḳhtasrī hai

sochūñ to yahāñ kuchh bhī nahīñ dekhne qābil
dekhūñ to tirī duniyā baḌī rañg bharī hai

dukh dard yahāñ aa.eñ to vāpas nahīñ jaate
ye dil koī āseb-zada bāra-darī hai

maiñ dasht meñ aa kar bhī kahāñ chain se baiThā
yaañ par bhī vahī ishq vahī dar-ba-darī hai

pyāre mire alfāz ko to bār-e-digar dekh
ye sher nahīñ nauha-e-be-bāl-o-parī hai

ye faiz milā ishq meñ daryūza-garī se
sultānī mire naqsh-e-kaf-e-pā pe dharī hai

'tahsīn' mazāmīn-e-ġhazal aur nikālo
ye daur mohabbat kī musībat se barī hai

har waqt mere samne ek jalwagari hai
main dekh na paun to meri kam nazari hai

main aankh jhapakta hun to manzar nahin rahta
ai husn-e-dil-awez ajab muKHtasri hai

sochun to yahan kuchh bhi nahin dekhne qabil
dekhun to teri duniya baDi rang bhari hai

dukh dard yahan aaen to wapas nahin jate
ye dil koi aaseb-zada bara-dari hai

main dasht mein aa kar bhi kahan chain se baiTha
yan par bhi wahi ishq wahi dar-ba-dari hai

pyare mere alfaz ko to bar-e-digar dekh
ye sher nahin nauha-e-be-baal-o-pari hai

ye faiz mila ishq mein daryuza-gari se
sultani mere naqsh-e-kaf-e-pa pe dhari hai

'tahsin' mazamin-e-ghazal aur nikalo
ye daur mohabbat ki musibat se bari hai


Leave a comment

+