tūfān-e-mohabbat laakh uThe tūfān se lekin hāsil kyā
jo Duub ga.ī vo kashtī kyā jo haath aayā vo sāhil kyā
ye barq-o-sharar ye shams-o-qamar dete haiñ nishān-e-manzil kyā
ai dost hameñ ho saktā hai andāza-e-rañg-e-mahfil kyā
kyā kahiye ki dard-e-furqat se 'ehsās' taḌaptā hai dil kyā
taskīn to maanā mumkin hai taskīn se lekin hāsil kyā
ham duur se kyā andāza kareñ kyā nāz-o-niyāz-e-ulfat the
parvāne se hone vaalī thī tauhīn-e-mazāq-e-mahfil kyā
hai rāh-e-mohabbat rāh-e-razā andesha-e-sūd-o-ziyāñ kaisā
maiñ kyuuñ dekhūñ āsān hai kyā maiñ kyuuñ dekhūñ hai mushkil kyā
tauhīn-talab tauhīn-e-junūñ tauhīn urūj-e-manzil hai
maiñ jis pe pahuñch jā.ūñ hamdam ho saktī hai merī manzil kyā
iz.hār-e-ġham-e-dil karnā to 'ehsās' ba-har-hāl āsāñ hai
ashkoñ kī faqat do būñdoñ kā āñkhoñ se nikalnā mushkil kyā
tufan-e-mohabbat lakh uThe tufan se lekin hasil kya
jo Dub gai wo kashti kya jo hath aaya wo sahil kya
ye barq-o-sharar ye shams-o-qamar dete hain nishan-e-manzil kya
ai dost hamein ho sakta hai andaza-e-rang-e-mahfil kya
kya kahiye ki dard-e-furqat se 'ehsas' taDapta hai dil kya
taskin to mana mumkin hai taskin se lekin hasil kya
hum dur se kya andaza karen kya naz-o-niyaz-e-ulfat the
parwane se hone wali thi tauhin-e-mazaq-e-mahfil kya
hai rah-e-mohabbat rah-e-raza andesha-e-sud-o-ziyan kaisa
main kyun dekhun aasan hai kya main kyun dekhun hai mushkil kya
tauhin-talab tauhin-e-junun tauhin uruj-e-manzil hai
main jis pe pahunch jaun hamdam ho sakti hai meri manzil kya
izhaar-e-gham-e-dil karna to 'ehsas' ba-har-haal aasan hai
ashkon ki faqat do bundon ka aankhon se nikalna mushkil kya
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment