muhtāj ham-safar kī masāfat na thī mirī
sab saath the kisī se rifāqat na thī mirī
haq kis se māñgtā ki makīnoñ ke saath saath
dīvār-o-bām-o-dar ko zarūrat na thī mirī
sach bol ke bhī dekh liyā un ke sāmne
lekin unheñ pasand sadāqat na thī mirī
maiñ jin pe mar miTā thā vo kāġhaz ke phuul the
rasmī mukālme the mohabbat na thī mirī
jo dūsroñ ke dukh the vahī mere dukh bhī the
kuchh aisī muḳhtalif bhī hikāyat na thī mirī
bas kuchh usuul the jo ba-har-hāl the aziiz
jānam kisī se varna adāvat na thī mirī
muhtaj ham-safar ki masafat na thi meri
sab sath the kisi se rifaqat na thi meri
haq kis se mangta ki makinon ke sath sath
diwar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri
sach bol ke bhi dekh liya un ke samne
lekin unhen pasand sadaqat na thi meri
main jin pe mar miTa tha wo kaghaz ke phul the
rasmi mukalme the mohabbat na thi meri
jo dusron ke dukh the wahi mere dukh bhi the
kuchh aisi muKHtalif bhi hikayat na thi meri
bas kuchh usul the jo ba-har-haal the aziz
jaanam kisi se warna adawat na thi meri
Leave a comment