Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqsh Layalpuri

  • Ghazal


jab dard mohabbat ka mere pas nahin tha


jab dard mohabbat kā mire paas nahīñ thā
maiñ kaun huuñ kyā huuñ mujhe ehsās nahīñ thā

TuuTā mirā har ḳhvāb huā jab se judā vo
itnā to kabhī dil mirā be-ās nahīñ thā

aayā jo mire paas mire hoñT bhigone
vo ret kā dariyā thā mirī pyaas nahīñ thā

baiThā huuñ maiñ tanhā.ī ko siine se lagā ke
is haal meñ jiinā to mujhe raas nahīñ thā

kab jaan sakā dard mirā dekhne vaalā
chehra mire hālāt kā akkās nahīñ thā

kyuuñ zahr banā us kā tabassum mere haq meñ
ai 'naqsh' vo ik dost thā almās nahīñ thā

jab dard mohabbat ka mere pas nahin tha
main kaun hun kya hun mujhe ehsas nahin tha

TuTa mera har KHwab hua jab se juda wo
itna to kabhi dil mera be-as nahin tha

aaya jo mere pas mere honT bhigone
wo ret ka dariya tha meri pyas nahin tha

baiTha hun main tanhai ko sine se laga ke
is haal mein jina to mujhe ras nahin tha

kab jaan saka dard mera dekhne wala
chehra mere haalat ka akkas nahin tha

kyun zahr bana us ka tabassum mere haq mein
ai 'naqsh' wo ek dost tha almas nahin tha


Leave a comment

+