Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ijad na kar


is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ījād na kar
ḳhaak ham ḳhāk-nashīnoñ kī tū barbād na kar

ishq un kā mire pahlū meñ ye detā hai sadā
bhuul jā apnī ḳhudī ġhair ko bhī yaad na kar

sabr lāzim hai tujhe koh-e-mohabbat pe zarūr
jazb-e-dil ko tū kahīñ taisha-e-farhād na kar

sho.ala-e-hijr se ḳhuuñ ḳhushk huā hai us kā
rag-e-āshiq pe sitam nashtar-e-fassād na kar

qaid-e-ġham se kahīñ āzād bhī ho jān-e-hazīñ
qatl karne meñ tāmul mire jallād na kar

fasl-e-gul aa.ī hai shādāb huā hai gulshan
bulbul-e-zār tū yaañ shevan-o-faryād na kar

jazb-e-dil saath 'jamīla' kā nahīñ chhoḌegā
ġham nahīñ ḳhizr rah-e-ishq meñ imdād na kar

is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ijad na kar
KHak hum KHak-nashinon ki tu barbaad na kar

ishq un ka mere pahlu mein ye deta hai sada
bhul ja apni KHudi ghair ko bhi yaad na kar

sabr lazim hai tujhe koh-e-mohabbat pe zarur
jazb-e-dil ko tu kahin taisha-e-farhad na kar

shoala-e-hijr se KHun KHushk hua hai us ka
rag-e-ashiq pe sitam nashtar-e-fassad na kar

qaid-e-gham se kahin aazad bhi ho jaan-e-hazin
qatl karne mein tamul mere jallad na kar

fasl-e-gul aai hai shadab hua hai gulshan
bulbul-e-zar tu yan shewan-o-faryaad na kar

jazb-e-dil sath 'jamila' ka nahin chhoDega
gham nahin KHizr rah-e-ishq mein imdad na kar


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+