raat ko maiñ ne ḳhvāb ajab sā dekhā hai
aage aag hai raushan pīchhe dariyā hai
kamre ke andar to ghuTan hai uljhan hai
bāhar jhāñk ke dekheñ mausam kaisā hai
saare rishte toḌ ke ham to aa.e the
phir ye beach hamāre jhagḌā kaisā hai
raat ko main ne KHwab ajab sa dekha hai
aage aag hai raushan pichhe dariya hai
kamre ke andar to ghuTan hai uljhan hai
bahar jhank ke dekhen mausam kaisa hai
sare rishte toD ke hum to aae the
phir ye beach hamare jhagDa kaisa hai
Leave a comment