Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


KHud-ba-KHud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai


ḳhud-ba-ḳhud mai hai ki shīshe meñ bharī aave hai
kis balā kī tumheñ jādū-nazarī aave hai

dil meñ dar aave hai har sub.h koī yaad aise
juuñ dabe-pāñv nasīm-e-saharī aave hai

aur bhī zaḳhm hue jaate haiñ gahre dil ke
ham to samjhe the tumheñ chāragarī aave hai

ek qatra bhī lahū jab na rahe siine meñ
tab kahīñ ishq meñ kuchh be-jigarī aave hai

chāk-e-dāmāñ-o-girebāñ ke bhī ādāb haiñ kuchh
har divāne ko kahāñ jāma-darī aave hai

shajar-e-ishq to māñge hai lahū ke aañsū
tab kahīñ jā ke koī shāḳh harī aave hai

tū kabhī raag kabhī rañg kabhī ḳhushbū hai
kaisī kaisī na tujhe ishva-garī aave hai

āp-apne ko bhulānā koī āsān nahīñ
baḌī mushkil se miyāñ be-ḳhabarī aave hai

ai mire shahr-e-nigārāñ tirā kyā haal huā
chappe chappe pe mire aañkh bharī aave hai

sāhibo husn kī pahchān koī khel nahīñ
dil lahū ho to kahīñ dīda-varī aave hai

KHud-ba-KHud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai
kis bala ki tumhein jadu-nazari aawe hai

dil mein dar aawe hai har subh koi yaad aise
jun dabe-panw nasim-e-sahari aawe hai

aur bhi zaKHm hue jate hain gahre dil ke
hum to samjhe the tumhein chaaragari aawe hai

ek qatra bhi lahu jab na rahe sine mein
tab kahin ishq mein kuchh be-jigari aawe hai

chaak-e-daman-o-gireban ke bhi aadab hain kuchh
har diwane ko kahan jama-dari aawe hai

shajar-e-ishq to mange hai lahu ke aansu
tab kahin ja ke koi shaKH hari aawe hai

tu kabhi rag kabhi rang kabhi KHushbu hai
kaisi kaisi na tujhe ishwa-gari aawe hai

aap-apne ko bhulana koi aasan nahin
baDi mushkil se miyan be-KHabari aawe hai

ai mere shahr-e-nigaran tera kya haal hua
chappe chappe pe mere aankh bhari aawe hai

sahibo husn ki pahchan koi khel nahin
dil lahu ho to kahin dida-wari aawe hai


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+