yuuñ bhī jab tak ġham se mar nahīñ jaatā maiñ
raat ga.e tak lauT ke ghar nahīñ jaatā maiñ
dekhtā rahtā huuñ tujh ko us lamhe tak!
jab tak saarā dard se bhar nahīñ jaatā maiñ
utnī der sameTūñ saare dukh tere
jitnī der ai dost bikhar nahīñ jaatā maiñ
tere ġham kā bojh uThā.ūñgā jab tak
koh-e-ġham se paar utar nahīñ jaatā maiñ
maut se aage tak ke manzar dekhe haiñ
tanhā.ī se yūñhī Dar nahīñ jaatā maiñ
'na.īm' us se maiñ apne saare dukh kahne
sochtā to rahtā huuñ par nahīñ jaatā maiñ
yun bhi jab tak gham se mar nahin jata main
raat gae tak lauT ke ghar nahin jata main
dekhta rahta hun tujh ko us lamhe tak!
jab tak sara dard se bhar nahin jata main
utni der sameTun sare dukh tere
jitni der ai dost bikhar nahin jata main
tere gham ka bojh uThaunga jab tak
koh-e-gham se par utar nahin jata main
maut se aage tak ke manzar dekhe hain
tanhai se yunhi Dar nahin jata main
'naim' us se main apne sare dukh kahne
sochta to rahta hun par nahin jata main
Source: Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 219)
Leave a comment