jaan le le na zabt-e-āh kahīñ
ro liyā kiije gaah gaah kahīñ
ibtidā.ī jo ek ḳhadsha thā
khul na jaa.e usī pe raah kahīñ
hone vaalī hai ye fazā rañgīn
abr hone lage siyāh kahīñ
ye suhulat hai zindagī ko bahut
rabt hotā rahe nibāh kahīñ
aur kuchh der ġham nazar meñ rakh
kyā ḳhabar mil hī jaa.e thaah kahīñ
haif sar se guzar gayā paanī
dhone aa.e the ham gunāh kahīñ
jaan le le na zabt-e-ah kahin
ro liya kije gah gah kahin
ibtidai jo ek KHadsha tha
khul na jae usi pe rah kahin
hone wali hai ye faza rangin
abr hone lage siyah kahin
ye suhulat hai zindagi ko bahut
rabt hota rahe nibah kahin
aur kuchh der gham nazar mein rakh
kya KHabar mil hi jae thah kahin
haif sar se guzar gaya pani
dhone aae the hum gunah kahin
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 48) Author : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment