guloñ ke saath ajal ke payām bhī aa.e
bahār aa.ī to gulshan meñ daam bhī aa.e
hamīñ na kar sake tajdīd-e-ārzū varna
hazār baar kisī ke payām bhī aa.e
chalā na kaam agarche ba-zom-e-rāhbarī
janāb-e-ḳhizr alaihis-salām bhī aa.e
jo tishna-e-kām-e-azal the vo tishna-kām rahe
hazār daur meñ miinā o jaam bhī aa.e
baḌe baḌoñ ke qadam Dagmagā ga.e 'tābāñ'
rah-e-hayāt meñ aise maqām bhī aa.e
gulon ke sath ajal ke payam bhi aae
bahaar aai to gulshan mein dam bhi aae
hamin na kar sake tajdid-e-arzu warna
hazar bar kisi ke payam bhi aae
chala na kaam agarche ba-zom-e-rahbari
janab-e-KHizr alaihis-salam bhi aae
jo tishna-e-kaam-e-azal the wo tishna-kaam rahe
hazar daur mein mina o jam bhi aae
baDe baDon ke qadam Dagmaga gae 'taban'
rah-e-hayat mein aise maqam bhi aae
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
gulon ke sath ajal ke payam bhi aae
Nomaan Shauque
Source: Mashal-e-raah
Leave a comment