phir us ruup meñ aanā tum
phir se raas rachānā tum
mahkoñ gulshan gulshan meñ
mausam pe chhā jaanā tum
phir maiñ añdhere oḌhūñgā
phir ik diip jalānā tum
baḳhshī tum ne din ko raat
ujyārā bhī laanā tum
jab maiñ duur chalā jā.ūñ
mujh ko paas bulānā tum
bhaTkūñ jañgal jañgal maiñ
shāḳh pe phuul khilānā tum
'khullar' mīThe bol kahe
Daalī Daalī gaanā tum
phir us rup mein aana tum
phir se ras rachana tum
mahkon gulshan gulshan mein
mausam pe chha jaana tum
phir main andhere oDhunga
phir ek dip jalana tum
baKHshi tum ne din ko raat
ujyara bhi lana tum
jab main dur chala jaun
mujh ko pas bulana tum
bhaTkun jangal jangal main
shaKH pe phul khilana tum
'khullar' miThe bol kahe
Dali Dali gana tum
Leave a comment