Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Hadi Wafa

  • Ghazal


do-jahan ko nigah-e-ijz se aksar dekha


do-jahāñ ko nigah-e-ijz se aksar dekhā
ham ne ummīd ko hirmāñ ke barābar dekhā

tāle.a-e-be-hunarī auj-e-falak par dekhā
jis jagah vahm na pahūñchā thā vahāñ sar dekhā

is bure vaqt meñ bhī laakh se achchhā huuñ maiñ
maiñ ne māshūq ke parda meñ muqaddar dekhā

kyā kahūñ qissa-e-dilchaspī-e-hāl-e-abtar
dostoñ ne mujhe aġhyār se baḌh kar dekhā

ai ajal ḳhuub batāyā vo qayāmat hogī
jis ke āġhosh meñ tū ne dil-e-muztar dekhā

bekasī-hā-e-tamannā ne sulāyā hai mujhe
phir na jāgūñgā agar ḳhvāb meñ mahshar dekhā

yaar jab parda-nashīñ hai to kahāñ kā parda
parda ye hai ki use parde se bāhar dekhā

paañv phailā.e haiñ bejā havas-e-duniyā ne
ham ne duniyā hī ko lipTā huā bistar dekhā

is khule zulm ne sab khol diye haiñ parde
ham ne dekhā tujhe sau baar sitamgar dekhā

Tapkā paḌtā hai rag-e-shauq se ḳhūn-e-hasrat
kyā 'vafā' dast-e-qazā meñ koī nashtar dekhā

do-jahan ko nigah-e-ijz se aksar dekha
hum ne ummid ko hirman ke barabar dekha

talea-e-be-hunari auj-e-falak par dekha
jis jagah wahm na pahuncha tha wahan sar dekha

is bure waqt mein bhi lakh se achchha hun main
main ne mashuq ke parda mein muqaddar dekha

kya kahun qissa-e-dilchaspi-e-haal-e-abtar
doston ne mujhe aghyar se baDh kar dekha

ai ajal KHub bataya wo qayamat hogi
jis ke aaghosh mein tu ne dil-e-muztar dekha

bekasi-ha-e-tamanna ne sulaya hai mujhe
phir na jagunga agar KHwab mein mahshar dekha

yar jab parda-nashin hai to kahan ka parda
parda ye hai ki use parde se bahar dekha

panw phailae hain beja hawas-e-duniya ne
hum ne duniya hi ko lipTa hua bistar dekha

is khule zulm ne sab khol diye hain parde
hum ne dekha tujhe sau bar sitamgar dekha

Tapka paDta hai rag-e-shauq se KHun-e-hasrat
kya 'wafa' dast-e-qaza mein koi nashtar dekha


Source: Shab Khoon(Shumara Number-056)

Leave a comment

+