jo ḳhvāb meñ huā thā vāqa.ī na ho
ki maiñ pukārtā rahūñ koī na ho
charāġh be-sabab to ro nahīñ rahe
jo shab guzar rahī hai āḳhirī na ho
jise sukūt-e-marg kā nishāñ kaheñ
ye ḳhāmushī kahīñ vo ḳhāmushī na ho
paḌī huī hai gard sī jo vaqt par
ye chashm-e-ḳhvāb-zād se girī na ho
mujhe ye hukm bhī sunā diyā gayā
ki naav meñ mire sivā koī na ho
yaqīñ bharī-bahār kā bhī kuchh nahīñ
agar ye shāḳh-e-dard hī harī na ho
mirā mo.āmla 'na.īm' aur hai
agar tirī nazar meñ sarsarī na ho
jo KHwab mein hua tha waqai na ho
ki main pukarta rahun koi na ho
charagh be-sabab to ro nahin rahe
jo shab guzar rahi hai aaKHiri na ho
jise sukut-e-marg ka nishan kahen
ye KHamushi kahin wo KHamushi na ho
paDi hui hai gard si jo waqt par
ye chashm-e-KHwab-zad se giri na ho
mujhe ye hukm bhi suna diya gaya
ki naw mein mere siwa koi na ho
yaqin bhari-bahaar ka bhi kuchh nahin
agar ye shaKH-e-dard hi hari na ho
mera moamla 'naim' aur hai
agar teri nazar mein sarsari na ho
Leave a comment