Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandra Shekhar Varma

  • Ghazal


baat sun lega KHuda amin kahna


baat sun legā ḳhudā amiin kahnā
paḌh ke tum apnī duā āmīn kahnā

apnī saarī mannateñ tum budbudānā
phaaḌ kar apnā galā āmīn kahnā

chup the kyoñ tum jab tumheñ māñgā ḳhudā se
itnā bhī mushkil na thā āmīn kahnā

haañ ye thā ḳhvāhish kā merī mas.ala par
thā zarūrī aap kā āmīn kahnā

is se behtar thā ki tum ḳhāmosh rahte
kufr thā vo anmanā āmīn kahnā

rāste bhar tum duā karte chalo bas
jab dikhegā mai-kadā āmīn kahnā

māñgne aayā huuñ maiñ tum se mohabbat
ai ḳhudā tum bhī zarā āmīn kahnā

baat sun lega KHuda amin kahna
paDh ke tum apni dua aamin kahna

apni sari mannaten tum budbudana
phaD kar apna gala aamin kahna

chup the kyon tum jab tumhein manga KHuda se
itna bhi mushkil na tha aamin kahna

han ye tha KHwahish ka meri masala par
tha zaruri aap ka aamin kahna

is se behtar tha ki tum KHamosh rahte
kufr tha wo anmana aamin kahna

raste bhar tum dua karte chalo bas
jab dikhega mai-kada aamin kahna

mangne aaya hun main tum se mohabbat
ai KHuda tum bhi zara aamin kahna


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+