Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


jine ke liye jo mar rahe hain


jiine ke liye jo mar rahe haiñ
āġhāz-e-hayāt kar rahe haiñ

hai husn kā naam muft badnām
log apnī talab meñ mar rahe haiñ

ġhunchoñ kī tarah khile the kuchh log
kirnoñ kī tarah bikhar rahe haiñ

hai naqsh-e-qadam pe naqsh-e-zanjīr
dīvāne jidhar guzar rahe haiñ

suntā huuñ ki aap ke vafādār
anjām-e-vafā se Dar rahe haiñ

sāhil ko bhī chhoḌte nahīñ log
kashtī pe bhī paañv dhar rahe haiñ

ab dasht meñ narm-rau havā se
kuchh naqsh-e-qadam nikhar rahe haiñ

rūhoñ meñ na.ī sahar ke baa.is
zehnoñ ke nashe utar rahe haiñ

ham jaise tamām nām-levā
dhabbā tire naam par rahe haiñ

ḳhushbū se ladī bahār meñ bhī
ham dard se bahra-var rahe haiñ

har daur ke fan-shanās 'dānish'
nākām-e-husūl-e-zar rahe haiñ

jine ke liye jo mar rahe hain
aaghaz-e-hayat kar rahe hain

hai husn ka nam muft badnam
log apni talab mein mar rahe hain

ghunchon ki tarah khile the kuchh log
kirnon ki tarah bikhar rahe hain

hai naqsh-e-qadam pe naqsh-e-zanjir
diwane jidhar guzar rahe hain

sunta hun ki aap ke wafadar
anjam-e-wafa se Dar rahe hain

sahil ko bhi chhoDte nahin log
kashti pe bhi panw dhar rahe hain

ab dasht mein narm-rau hawa se
kuchh naqsh-e-qadam nikhar rahe hain

ruhon mein nai sahar ke bais
zehnon ke nashe utar rahe hain

hum jaise tamam nam-lewa
dhabba tere nam par rahe hain

KHushbu se ladi bahaar mein bhi
hum dard se bahra-war rahe hain

har daur ke fan-shanas 'danish'
nakaam-e-husul-e-zar rahe hain


Leave a comment

+