Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Kaifi

  • Ghazal


phir wahi andoh-e-jaan hai aur main


phir vahī andoh-e-jāñ hai aur maiñ
shaam hai mai hai dhuāñ hai aur maiñ

ye zamīñ ik lafz se aage nahīñ
āsmāñ hī āsmāñ hai aur maiñ

yā musalsal ik sadā-e-bā-gasht
yā sukūt-e-bekarāñ hai aur maiñ

phir wahi andoh-e-jaan hai aur main
sham hai mai hai dhuan hai aur main

ye zamin ek lafz se aage nahin
aasman hi aasman hai aur main

ya musalsal ek sada-e-ba-gasht
ya sukut-e-bekaran hai aur main


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 332) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+