ḳhāl-e-lab āfat-e-jāñ thā mujhe ma.alūm na thā
daam daane meñ nihāñ thā mujhe ma.alūm na thā
ḳhvāhish-e-sūd thī saude meñ mohabbat ke vale
sar-ba-sar us meñ ziyāñ thā mujhe ma.alūm na thā
bātoñ bātoñ meñ mire sar ko kaTā degā raqīb
is qadar saif-zubāñ thā mujhe ma.alūm na thā
maiñ to aayā thā 'baqā' baaġh meñ sun josh-e-bahār
par ye hañgām-e-ḳhizāñ thā mujhe ma.alūm na thā
KHal-e-lab aafat-e-jaan tha mujhe malum na tha
dam dane mein nihan tha mujhe malum na tha
KHwahish-e-sud thi saude mein mohabbat ke wale
sar-ba-sar us mein ziyan tha mujhe malum na tha
baaton baaton mein mere sar ko kaTa dega raqib
is qadar saif-zuban tha mujhe malum na tha
main to aaya tha 'baqa' bagh mein sun josh-e-bahaar
par ye hangam-e-KHizan tha mujhe malum na tha
Leave a comment