Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Mazhari

  • Ghazal


main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main


maiñ kyā batā.ūñ ki tū kyā hai aur kyā huuñ maiñ
hujūm-e-lafz-o-ma.ānī meñ kho gayā huuñ maiñ

pinhā de koī mohabbat kī ek kaḌī zanjīr
ki qaid-e-farz se bāhar nikal gayā huuñ maiñ

savāb ko na.ī shakleñ jo de rahā hai tū
gunāh ke na.e sāñche banā rahā huuñ maiñ

junūñ mirā ḳhirad-āsūda-e-natā.ej hai
ḳhud apne paañv kī zanjīr Dhāltā huuñ maiñ

mirī nazar meñ tajallī kī kyā haqīqat hai
tajalliyoñ kī haqīqat ko dekhtā huuñ maiñ

girā chukā thā jise kal nazar se apnī 'jamīl'
ġhurūr ab usī pastī pe kar rahā huuñ maiñ

main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main
hujum-e-lafz-o-maani mein kho gaya hun main

pinha de koi mohabbat ki ek kaDi zanjir
ki qaid-e-farz se bahar nikal gaya hun main

sawab ko nai shaklen jo de raha hai tu
gunah ke nae sanche bana raha hun main

junun mera KHirad-asuda-e-nataej hai
KHud apne panw ki zanjir Dhaalta hun main

meri nazar mein tajalli ki kya haqiqat hai
tajalliyon ki haqiqat ko dekhta hun main

gira chuka tha jise kal nazar se apni 'jamil'
ghurur ab usi pasti pe kar raha hun main


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+