Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadiya ambar lodhi

  • Ghazal


sim-o-zar ki koi tanwir nahin chahti main


sīm-o-zar kī koī tanvīr nahīñ chāhtī maiñ
kisī shahzādī sī taqdīr nahīñ chāhtī maiñ

maktab-e-ishq se vābasta huuñ kaafī hai mujhe
dād-e-'ġhālib' sanad-e-'mīr' nahīñ chāhtī maiñ

faizyābī tirī sohbat hī se miltī hai mujhe
kab tire ishq kī tāsīr nahīñ chāhtī maiñ

qaid ab vasl ke zindāñ meñ tū kar le mujh ko
ye tire hijr kī zanjīr nahīñ chāhtī maiñ

mujh ko itnī bhī na sikhlā tū nishāna baazī
tujh pe chal jaa.e mirā tiir nahīñ chāhtī maiñ

ab to aatā nahīñ 'amabar' vo kabhī sapne meñ
ab kisī ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ chāhtī maiñ

sim-o-zar ki koi tanwir nahin chahti main
kisi shahzadi si taqdir nahin chahti main

maktab-e-ishq se wabasta hun kafi hai mujhe
dad-e-'ghaalib' sanad-e-'mir' nahin chahti main

faizyabi teri sohbat hi se milti hai mujhe
kab tere ishq ki tasir nahin chahti main

qaid ab wasl ke zindan mein tu kar le mujh ko
ye tere hijr ki zanjir nahin chahti main

mujh ko itni bhi na sikhla tu nishana bazi
tujh pe chal jae mera tir nahin chahti main

ab to aata nahin 'amabar' wo kabhi sapne mein
ab kisi KHwab ki tabir nahin chahti main


Leave a comment

+