Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pratap Somvanshi

  • Ghazal


tu agar beTiyan nahin likhta


tū agar beTiyāñ nahīñ likhtā
to samajh khiḌkiyāñ nahīñ likhtā

sardiyāñ jo thiiñ sab sahīñ maiñ ne
dhuup ko arziyāñ nahīñ likhtā

jab shahr pūchhtā nahīñ us ko
gaañv bhī chiTThiyāñ nahīñ likhtā

maiñ havā ke gunāh ke badle
aag kī ġhalatiyāñ nahīñ likhtā

page saada hī chhoḌ detā huuñ
maiñ kabhī talḳhiyāñ nahīñ likhtā

is meñ bachche kā hai gunāh kahāñ
vo agar titliyāñ nahīñ likhtā

tu agar beTiyan nahin likhta
to samajh khiDkiyan nahin likhta

sardiyan jo thin sab sahin main ne
dhup ko arziyan nahin likhta

jab shahr puchhta nahin us ko
ganw bhi chiTThiyan nahin likhta

main hawa ke gunah ke badle
aag ki ghalatiyan nahin likhta

page sada hi chhoD deta hun
main kabhi talKHiyan nahin likhta

is mein bachche ka hai gunah kahan
wo agar titliyan nahin likhta


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 137) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+