Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habib Jalib

  • Ghazal


dushmanon ne jo dushmani ki hai


dushmanoñ ne jo dushmanī kī hai
dostoñ ne bhī kyā kamī kī hai

ḳhāmushī par haiñ log zer-e-itāb
aur ham ne to baat bhī kī hai

mutma.in hai zamīr to apnā
baat saarī zamīr hī kī hai

apnī to dāstāñ hai bas itnī
ġham uThā.e haiñ shā.erī kī hai

ab nazar meñ nahīñ hai ek hī phuul
fikr ham ko kalī kalī kī hai

pā sakeñge na umr bhar jis ko
justujū aaj bhī usī kī hai

jab mah-o-mahr bujh ga.e 'jālib'
ham ne ashkoñ se raushnī kī hai

dushmanon ne jo dushmani ki hai
doston ne bhi kya kami ki hai

KHamushi par hain log zer-e-itab
aur hum ne to baat bhi ki hai

mutmain hai zamir to apna
baat sari zamir hi ki hai

apni to dastan hai bas itni
gham uThae hain shaeri ki hai

ab nazar mein nahin hai ek hi phul
fikr hum ko kali kali ki hai

pa sakenge na umr bhar jis ko
justuju aaj bhi usi ki hai

jab mah-o-mahr bujh gae 'jalib'
hum ne ashkon se raushni ki hai


Leave a comment

+