Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Naqvi

  • Ghazal


ai kahkashan-nawaz muqaddar ujal de


ai kahkashāñ-navāz muqaddar ujaal de
merī taraf bhī ek sitāra uchhāl de

ham puure āftāb ke qābil nahīñ agar
thoḌī sī piilī dhuup hī āñkhoñ meñ Daal de

haañ kahte kahte guñg na ho jaa.e dil kahīñ
yārab mirī zabān ko tāb-e-savāl de

rogī huā hai dhuup ko tarsā huā badan
ai māmtā supūt ko ghar se nikāl de

koī to dostoñ se mire dostī kare
koī to mehrbāñ ho balāoñ ko Taal de

tū lafz-gar to hai tujhe shā.ir kaheñge jab
ik be-zabān harf ko naġhme meñ Dhaal de

bijlī kā tiir jaise dhanak kī kamān meñ
kyā aur is shabāb kī koī misāl de

'bāqar' is āftāb meñ jauhar hai is qadar
aa jaa.e josh meñ to samundar ubaal de

ai kahkashan-nawaz muqaddar ujal de
meri taraf bhi ek sitara uchhaal de

hum pure aaftab ke qabil nahin agar
thoDi si pili dhup hi aankhon mein Dal de

han kahte kahte gung na ho jae dil kahin
yarab meri zaban ko tab-e-sawal de

rogi hua hai dhup ko tarsa hua badan
ai mamta suput ko ghar se nikal de

koi to doston se mere dosti kare
koi to mehrban ho balaon ko Tal de

tu lafz-gar to hai tujhe shair kahenge jab
ek be-zaban harf ko naghme mein Dhaal de

bijli ka tir jaise dhanak ki kaman mein
kya aur is shabab ki koi misal de

'baqar' is aaftab mein jauhar hai is qadar
aa jae josh mein to samundar ubaal de


Leave a comment

+