agar maiñ un kī nigāhoñ se gir gayā hotā
to aaj apnī nazar se utar gayā hotā
tere firāq ne kī zindagī atā mujh ko
terā visāl jo miltā to mar gayā hotā
jo tum ne pyaar se āvāz mujh ko dī hotī
rah-e-hayāt se hañs kar guzar gayā hotā
jo jhūT-mūT hī tum mujh ko apnā kah dete
to mere pyaar kā har qarz utar gayā hotā
jo ik nigāh-e-karam un kī paḌtī ai 'dānish'
to merā bigḌā muqaddar sañvar gayā hotā
agar main un ki nigahon se gir gaya hota
to aaj apni nazar se utar gaya hota
tere firaq ne ki zindagi ata mujh ko
tera visal jo milta to mar gaya hota
jo tum ne pyar se aawaz mujh ko di hoti
rah-e-hayat se hans kar guzar gaya hota
jo jhuT-muT hi tum mujh ko apna kah dete
to mere pyar ka har qarz utar gaya hota
jo ek nigah-e-karam un ki paDti ai 'danish'
to mera bigDa muqaddar sanwar gaya hota
Leave a comment