Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aamir Suhail

  • Ghazal


gale se der talak lag ke roen abr-o-sahab


gale se der talak lag ke ro.eñ abr-o-sahāb
haTā diye haiñ zamān-o-makāñ ke ham ne hijāb

lahad kī miTTī kī taqdīr kī amaan maiñ duuñ
safed laTThe meñ kafnā ke surḳh shāḳh-e-gulāb

maiñ āsmān tire jism pe bichhā detā
magar ye niil meñ chādar banī nahīñ kamḳhāb

tirā vo rātoñ ko uTh kar sisak sisak ronā
lahū meñ niiñd kī Tīseñ palak pe ijz ke ḳhvāb

tire jalā.e diyoñ meñ bhaḌaktī aag kā pher
zamīñ kī rehl pe rakkhe na raushnī kī kitāb

havā bahisht ke bāġhoñ kī zulf zulf phire
tirī lahad tire bālīñ ke gard jū-e-sharāb

kamān khīñch zamāne kī sū-e-sīna-zanāñ
ai farq-e-nāz gale se utaar tauq-e-ġhayāb

maiñ ek yaḳh-zada māthe ko chuum kar dam-e-sub.h
tirī zamīnoñ se guzrūñgā ai jahān-e-ḳharāb

mashaqqatī haiñ tire kāḳh-o-kū-e-hijr ke ham
ai kār-ḳhāna-e-aflāk-o-ḳhāk-o-āb-o-sarāb

ye tañg-o-tār-gaḌhā nuur se bhare 'āmir'
sadā rahe tere hujre meñ hāla-e-māhtāb

gale se der talak lag ke roen abr-o-sahab
haTa diye hain zaman-o-makan ke hum ne hijab

lahad ki miTTi ki taqdir ki aman main dun
safed laTThe mein kafna ke surKH shaKH-e-gulab

main aasman tere jism pe bichha deta
magar ye nil mein chadar bani nahin kamKHab

tera wo raaton ko uTh kar sisak sisak rona
lahu mein nind ki Tisen palak pe ijz ke KHwab

tere jalae diyon mein bhaDakti aag ka pher
zamin ki rehl pe rakkhe na raushni ki kitab

hawa bahisht ke baghon ki zulf zulf phire
teri lahad tere baalin ke gard ju-e-sharab

kaman khinch zamane ki su-e-sina-zanan
ai farq-e-naz gale se utar tauq-e-ghayab

main ek yaKH-zada mathe ko chum kar dam-e-subh
teri zaminon se guzrunga ai jahan-e-KHarab

mashaqqati hain tere kaKH-o-ku-e-hijr ke hum
ai kar-KHana-e-aflak-o-KHak-o-ab-o-sarab

ye tang-o-tar-gaDha nur se bhare 'amir'
sada rahe tere hujre mein haala-e-mahtab


Leave a comment

+