Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadiya ambar lodhi

  • Ghazal


hum ko aaghaz-e-safar marta hai


ham ko āġhāz-e-safar mārtā hai
mārtā koī nahīñ Dar mārtā hai

zindagī hai mirī mushkil meñ paḌī
ishq hai ki be-ḳhabar mārtā hai

tirī mujh se nahīñ qurbat na sahī
mujh ko to husn-e-nazar mārtā hai

zindagī us kī hai muhtāj magar
de bhī saktā hai magar mārtā hai

ik hañsī gūñjī thī ghar meñ mere
mujh ko yādoñ kā asar mārtā hai

hum ko aaghaz-e-safar marta hai
marta koi nahin Dar marta hai

zindagi hai meri mushkil mein paDi
ishq hai ki be-KHabar marta hai

teri mujh se nahin qurbat na sahi
mujh ko to husn-e-nazar marta hai

zindagi us ki hai muhtaj magar
de bhi sakta hai magar marta hai

ek hansi gunji thi ghar mein mere
mujh ko yaadon ka asar marta hai


Leave a comment

+