Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Ghazipuri

  • Ghazal


utre to kai bar sahife mere ghar mein


utre to ka.ī baar sahīfe mire ghar meñ
milte haiñ magar sirf jarīde mire ghar meñ

āvāz meñ lazzat kā nayā shahad jo gholeñ
utre na kabhī aise parinde mire ghar meñ

neze to shuāoñ ke rahe ḳhuun ke pyāse
nam-dīda the dīvār ke saa.e mire ghar meñ

qindīl-e-navā le ke safar hī meñ rahā maiñ
dhundlā ga.e armānoñ ke shīshe mire ghar meñ

andar kī harārat se badan suukh rahā hai
utreñ kabhī shabnam ke qabīle mire ghar meñ

maiñ kaise tamannāoñ ke darpan ko bachā.ūñ
saffāk hue jaate haiñ lamhe mire ghar meñ

album kī bhī sauġhāt tarab-ḳhez hai kitnī
ab merī tarah haiñ ka.ī chehre mere ghar meñ

utre to kai bar sahife mere ghar mein
milte hain magar sirf jaride mere ghar mein

aawaz mein lazzat ka naya shahad jo gholen
utre na kabhi aise parinde mere ghar mein

neze to shuaon ke rahe KHun ke pyase
nam-dida the diwar ke sae mere ghar mein

qindil-e-nawa le ke safar hi mein raha main
dhundla gae armanon ke shishe mere ghar mein

andar ki hararat se badan sukh raha hai
utren kabhi shabnam ke qabile mere ghar mein

main kaise tamannaon ke darpan ko bachaun
saffak hue jate hain lamhe mere ghar mein

album ki bhi saughat tarab-KHez hai kitni
ab meri tarah hain kai chehre mere ghar mein


Leave a comment

+