Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


bhul kar hargiz na lete hum zaban se nam-e-ishq


bhuul kar hargiz na lete ham zabāñ se nām-e-ishq
gar nazar aatā hameñ āġhāz meñ anjām-e-ishq

vaa.e qismat dil lagāte hī judā.ī ho ga.ī
sub.h hote hī huī nāzil balā-e-shām-e-ishq

nāseh-e-nādāñ tirī qismat meñ ye vaq.at kahāñ
ḳhush-nasīboñ ke liye hai zillat-o-dushnām-e-ishq

haal merā sun ke paiġhāmī se vo kahne lage
gar na thī tāb-e-judā.ī kyuuñ liyā thā nām-e-ishq

bhul kar hargiz na lete hum zaban se nam-e-ishq
gar nazar aata hamein aaghaz mein anjam-e-ishq

wae qismat dil lagate hi judai ho gai
subh hote hi hui nazil bala-e-sham-e-ishq

naseh-e-nadan teri qismat mein ye waqat kahan
KHush-nasibon ke liye hai zillat-o-dushnam-e-ishq

haal mera sun ke paighami se wo kahne lage
gar na thi tab-e-judai kyun liya tha nam-e-ishq

RECITATIONS Fasih Akmal00:00/00:00 bhul kar hargiz na lete hum zaban se nam-e-ishq Fasih Akmal

Leave a comment

+