dard aur ġham ke maare nikle raat safar sahrā aur maiñ
ek hī jañg ke haare nikle raat safar sahrā aur maiñ
dukh kī chādar taan ke ham ne hijr kī raat guzārī thī
aañsū jugnū taare nikle raat safar sahrā aur maiñ
ġharq hue phir mauj-e-fanā meñ ik ik kar ke sab ke sab
dekho faanī saare nikle raat safar sahrā aur maiñ
ham ne jis kī buniyādoñ meñ saañs kā siisa Daalā thā
miTTī ret aur gaare nikle raat safar sahrā aur maiñ
maiñ ne sochā thā ki ye 'amabar' qismat merī badal deñge
mujh se bichhaḌ ke ye saare nikle raat safar sahrā aur maiñ
dard aur gham ke mare nikle raat safar sahra aur main
ek hi jang ke haare nikle raat safar sahra aur main
dukh ki chadar tan ke hum ne hijr ki raat guzari thi
aansu jugnu tare nikle raat safar sahra aur main
gharq hue phir mauj-e-fana mein ek ek kar ke sab ke sab
dekho fani sare nikle raat safar sahra aur main
hum ne jis ki buniyaadon mein sans ka sisa Dala tha
miTTi ret aur gare nikle raat safar sahra aur main
main ne socha tha ki ye 'amabar' qismat meri badal denge
mujh se bichhaD ke ye sare nikle raat safar sahra aur main
Leave a comment