saaqī mujhe shabāb kā rasiyā kahe so huuñ
maiñ ḳhud se be-niyāz huuñ jaisā kahe so huuñ
merī havas ke andarūñ mahrūmiyāñ haiñ dost
vāmāñda-e-bahār huuñ ghaTiyā kahe so huuñ
ab maiñ kisī kī soch badalne se to rahā
ye shahr-e-bad-gumāñ mujhe shaidā kahe so huuñ
tū hī batā maiñ apnī safā.ī meñ kyā kahūñ
tū baat baat meñ mujhe jhūTā kahe so huuñ
'dānish' ḳhud-ehtisābī kā mujh meñ nahīñ dimāġh
muñh-phaT huuñ bad-mizāj huuñ duniyā kahe so huuñ
saqi mujhe shabab ka rasiya kahe so hun
main KHud se be-niyaz hun jaisa kahe so hun
meri hawas ke andarun mahrumiyan hain dost
wamanda-e-bahaar hun ghaTiya kahe so hun
ab main kisi ki soch badalne se to raha
ye shahr-e-bad-guman mujhe shaida kahe so hun
tu hi bata main apni safai mein kya kahun
tu baat baat mein mujhe jhuTa kahe so hun
'danish' KHud-ehtisabi ka mujh mein nahin dimagh
munh-phaT hun bad-mizaj hun duniya kahe so hun
Leave a comment