Subscribe to our newsletter and get our newest updates

B S Jain Jauhar

  • Ghazal


ghar mein rahte hue Dar lagta hai


ghar meñ rahte hue Dar lagtā hai
ab bayābān hī ghar lagtā hai

paañv rakhtā huuñ to dhañstī hai zamīñ
sar uThātā huuñ to sar lagtā hai

qatl-o-ġhārat hai galī kūchoñ meñ
shahr-e-dahshat kā nagar lagtā hai

Dagmagātī hai dhamākoñ se zamīñ
āsmāñ zer-o-zabar lagtā hai

zindagī yuuñ to guzar jā.egī
kitnā mushkil ye safar lagtā hai

ġhair to ġhair hameñ aaj ke din
apne ham-sā.e se Dar lagtā hai

ghar mein rahte hue Dar lagta hai
ab bayaban hi ghar lagta hai

panw rakhta hun to dhansti hai zamin
sar uThata hun to sar lagta hai

qatl-o-ghaarat hai gali kuchon mein
shahr-e-dahshat ka nagar lagta hai

Dagmagati hai dhamakon se zamin
aasman zer-o-zabar lagta hai

zindagi yun to guzar jaegi
kitna mushkil ye safar lagta hai

ghair to ghair hamein aaj ke din
apne ham-sae se Dar lagta hai


Leave a comment

+