Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah Muhib

  • Ghazal


har aan yas baDhni har dam umid ghaTni


har aan yaas baḌhnī har dam umiid ghaTnī
din hashr kā hai ab to furqat kī raat kaTnī

pau phāTnā nahīñ ye mujh sīna-chāk ke hai
har sub.h bār-e-ġham se chhātī falak kī फटनी

kūche meñ us ke baaqī mujh ḳhāksār par ab
yā āsmāñ hai girnā yā hai zamīn phahTnī

mizhgāñ kī barchhiyoñ ne dil ko to chhān maarā
ab boTiyāñ haiñ baaqī un par jigar kī baTnī

ḳhat kī syāhī ne aa gherī sabāhat-e-husn
is rome se hai mushkil ye fauj-e-zañg haTnī

zulf-e-siyah meñ ai dil bikhrā na māya-jāñ
ye jins tīra-shab meñ mushkil hai phir simaTnī

ḳhūn-e-jigar kā khānā dil par nahīñ gavārā
in tursh abaruoñ kī jab tak na ho.e chaTnī

ā.īna kah rahā hai ḳhūboñ ke saaf muñh par
haiñ ek din ye shakleñ sab ḳhaak biich aTnī

rañgīñ hai yuuñ butoñ kī kaif-e-nigah kī gardish
juuñ burj kī phire hai holī meñ mast jaTnī

kyā past fitratoñ ko baḳhshe hai sar-bulandī
duniyā ke sho.abde se ta.alīm ho.e naTnī

tū ne 'muhib' biThā.e ye qāfiye vagarna
paa.e qalam ko yaksar hai ye zamīñ rapaTnī

har aan yas baDhni har dam umid ghaTni
din hashr ka hai ab to furqat ki raat kaTni

pau phaTna nahin ye mujh sina-chaak ke hai
har subh bar-e-gham se chhati falak ki फटनी

kuche mein us ke baqi mujh KHaksar par ab
ya aasman hai girna ya hai zamin phahTni

mizhgan ki barchhiyon ne dil ko to chhan mara
ab boTiyan hain baqi un par jigar ki baTni

KHat ki syahi ne aa gheri sabahat-e-husn
is rome se hai mushkil ye fauj-e-zang haTni

zulf-e-siyah mein ai dil bikhra na maya-jaan
ye jins tira-shab mein mushkil hai phir simaTni

KHun-e-jigar ka khana dil par nahin gawara
in tursh abaruon ki jab tak na hoe chaTni

aaina kah raha hai KHubon ke saf munh par
hain ek din ye shaklen sab KHak bich aTni

rangin hai yun buton ki kaif-e-nigah ki gardish
jun burj ki phire hai holi mein mast jaTni

kya past fitraton ko baKHshe hai sar-bulandi
duniya ke shoabde se talim hoe naTni

tu ne 'muhib' biThae ye qafiye wagarna
pae qalam ko yaksar hai ye zamin rapaTni


Source: Deewan-e-habeeb

Leave a comment

+